Sunday, August 20, 2006

mujhe likhne ka bahut saukh hai

likhavat achi nahi hai phir bhi
mujhe likhne ka bahut saukh hai,
baatein kuch bhi nahi kahne ko ,
magar kya karu likhne ka bahut saukh hai,
aadat si ban gayi hai chup rahne ki,
ab saha nahi jata
likhe bina ab mujhse raha nahi jaata,
kya karu sach much samajh nahi ata,
ae humsafar,rahi,mere humdam,
kyu bekaar muskurata hai,
kyun is kadar mujhse sharmata hai,,,,,
cha chod yeh naqli hasi,
aa dekh meri likhavat,jo mujhe samajh nahi ati,
aa pad meri baatein jo,kisi ko bhi samajh nahi ati,,
kya karu,,,kaise kahu,,,,,ki likhne ka man toh hai,,,,,,
likhkar ke karunga kya ye samajh nahi ata hai